Sunday 27 July 2014

Durood-e-Pak ki Fazilat


          Durood-e-Pak ki Fazilat (no.1)

Sarkar-e-‘Aali Waqar, Madinay kay tajdar sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka farmane-mushkbar hay: Jis nay mujh per aik bar Durood-e-Pak parha Allah ta'ala us per 10 Rahmaten nazil farmata hay, das 10 gunah mittata hay,10 darajaat buland farmata hay.

                 

              Durood-e-Pak ki Fazilat (no.2)

Sarkar-e-Madina, Rahat-e-Qalab-o-seena, Sahib-e-Mu’attar Pasena sallallahu ta'ala alaihi wasallamka farman-e-bakarina hai: “Ay logo! Baishak baroz-e-qaymamat iski dehshataun aur hisab kitab say jald nijat pany wala shaks woh hoga jis nay tum main say mujh par dunya ke andar bakasrat Durood shareef parhay hongay.
      
             Durood-e-Pak ki Fazilat (no.3)

Qiyamat kay din kisi Musalman ki nekiyan meezan (ya’ni tarazu) mein halki ho jaengi tou Sarwar-e-Kaenaat, Shah-e-Mojudaat sallallahu ta'ala alaihi wasallam aik parcha apnay pas say nikaal ker nekiyon kay pallarray mein rakh dengay tou us ki nekiyon ka pallarra wazni ho jaega. Woh arz karega
Meray maan baap aap per qurbaan! Aap kon hain Huzoor farmaen gey: Mein tera Nabi Muhammad hun aur ye tera woh Durood-e-Pak hay jo tu nay mujh per parha tha.

         
         Durood-e-Pak ki Fazilat (no.4)

Sarkaar-e-Madina, Rahat-e-Qalb-o-Seena, Sahib-e-Muattar Pasina ka farman-e-aafiyat nishan hay” Aey logon! Be-shak
baroz-e-qiyamat us ki dehshaton aur hisaab kitab say jald nijat panay wala shakhs woh ho ga jis nay tum mein say mujh per dunya kay ander ba-kasrat Durood shareef parhay hon gey.

                         
 \
          Durood-e-Pak ki Fazilat (no.5)
                         
Rasool-e-Nazeer, Siraj-e-Muneer, Mahboob-e-Rab-e-Qadeer sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka farman-e dilpazeer hay: Zikr-e-Ilahi ki kasrat kerna aur mujh per Durood-e-Pak parhna fikr (Tangdasti) ko dur kerta hay.

            
             Durood-e-Pak ki Fazilat (no.6)

Farman-e-Mustafa sallallahu ta'ala alaihi wasallam 
hay Jis Nay mujh per das martaba durood-e-Pak parha Allah us per so (100) rahmateinnazil farmata hay.




No comments:

Post a Comment